kar loon ga jama daulat o zar, us ke baad kya ?
le loon ga shandaar sa ghar, , us ke baad kya ?
mai ki talab jo hogi to ban jaon ga main rind
kar loon ga maikadon ka safar, us ke baad kya ?
hoga jo shauq husn se raaz o niaz ka
kar loon ga gesuyon main sahar, us ke baad kya ?
sher o sukhan ki khoob sajaon ga mehfil-en
duniya main ho ga naam magar, us ke baad kya ?
mauj aye gi to saare jahan ki karoon ga sair
wapis wohi purana nagar, us ke baad kya ?
ik roz maut zeest ka dar khaTkhaTaye gi
bujh jaye ga charagh e qamar, us ke baad kya ?
uthi thi khaak, khaak se mil jaye gi wahin
phir us ke baad kis ko khabar, us ke baad kya ?
– Qamar Jalalabadi